Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Compromise me
on 17/12/2024, 16:38:00 UTC
Shbi kese hain,  aj 16 Dec tha  jis ham  black day kahty   hain  2014 mein Peshawar ke Army Public School par hamla huwa jis waja sy bachon ko School sy chotti b Di jati hai pr is bar asa nhi huwa school band nhi howay ye  dardnaak waqiya tha jis ne har dil ko ghamzada kar diya aur puri qaum ko yakja kiya. 

Ye din humein yaad dilata hai ke hum apni ghaltiyon se sabaq seekhein qaumi ittehad ko farogh dein  apne bachon ko mehfooz mustaqbil dene ke liye kaam karein. In qurbanion ko khiraje tehseen pesh karne ka behtareen tareeqa ye hai ke hum ilm aman aur taraqqi ke raste par chalein.
bhai chhutti kya karni thi aapko ek baat batata chalun sani d chauk Karne wale aur aur 16 December ko hamare bacchon ko katla karne wale ek hi log the yah vahi log the jinhen hamen yazkeen ke liye Ham per goli Nahin Chala sakte aur unhone dchock mein goli chalai aur masoom logon ko qateel Kiya hamen afsos hota hai bachpan mein Ham Jin logon per apni jaan manne ko taiyar the vahi hamare upar Gori yaar goli chalayenge ab samajh Gaye honge main Jin logon ki baat kar raha hun
Ap ny is waqie ko yaad rakha par ham ye bolgien hain k 16 December me 2 tarikh I waqie hain.
Agar ap  history read karo Ye  din humein 1971 ke us sanihay ki yaad dilata hai jab Mashriqi Pakistan alag ho kar Bangladesh bana. Ye waqiya sirf aik tabdeeli nahi thi balki qaumi wahdat siyasi qiyadat aur ham ahangi ki kami ka nateeja tha ye b  wo  din tha jab  poori qaum ko gehray sadme aur soch mein mubtala kar diya. Har saal 16 December me ham peshawar wala waqie ko yaad karty hain par is ko nhi  humein ye sabaq deta hai ke hum apni taqat ko tafreeq ke bajaye wahdat mein talash Karen jis ka qum ko koi Bala b ho . Ye din  hum ye nasihat karta hai k  apni ghaltiyon se seekhein aur apne mulk ko mazeed muttahid aur mazboot banayen. Wo sanihah aj bhi humare liye aik paigham aur peshawar me howa waqeya hamray leye gamgien hai jis din ko yaad kar k ham apnie bachon ka hun sala barhaien.