Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 22/12/2024, 05:39:15 UTC
Brother, thanks for your comments and sharing information about interest rate cuts in Pakistan, mgr mein ne apni post mein USA k interest rate ki baat ki thi jo k 0.25% kum hoi han or Pakistan mein 2% kum hoi han. Mein Pakistan stocks Exchange mein bht active houn or almost daily basis pe trading kerta houn es liay mujhy andaza k interest rates cuts ki waja se Pakistan stock market ka index 100,000 se oper reach ker gya ha.

Interest rate cut hony se sub risky market jis mein Stocks, Crypto markets shamil han, bht positive impact hota ha or funds inflow berny ki waja se markets behter perform kerti han.

Bitcoin market abi side ways hee chal rehi ha or es waqt Bitcoin ki price $97K ka kareen, weekend ki waja se aaj market mein zayadeh acvity nhi ho gi mgr kal Euopean or USA markets k open hony k baad umeed k Bitcoin apna upwards hourney continue kere ga or dobara $100K ko touch kere ga, Insha Allah. DYOR

Ya to ap na boht achi news sunyi hy ka ap stock market ma trading krta hn. Ab ap sa PSX ke info ly kr kuch wahan bhe kaam start krta hn. Ma na kuch saal pehla Stock market ma trading ke the pr koe khas profit nhi ly saqa is lea quit kr de.

Ap kon sa stocks ke trading krta hn aur ya batyn ka kya ap wahan day trader hn ya long term investor?

Ya baat kafi heran kun hy ka Pakistan eik economic crisis sa guzr rha hy aur stock exchnage hy ky rukna ka naam he nhi la rhi. is ke kya wajha hy ka stock market itni oper ja rhi hy jabka mulk ma industry kafi had tk band hy.


Well woh sab toh teek haa ky interest rate Mai down fall Aya but kya hamara yeh system just like other bhi American par dependant haa as abhi recent Mai unho ny interest rate km Kiya aur phir haamy Pakistan mpc ki taraf Sy bhi yeh step laity daikha gaya toh Kya American federal reserve ka decision world wide follow hota ha ya Kya scene haa ya ik Sath ik maheeny Mai ik ky baad ik ka interest rate decrease karna itifaq ha.

Anyway yeh Pakistan ha baby yaha pa aisy scene haa jo cheez ky rate bar gai phir woh sasti bhi ho jai uska koi chance nhi woh down ayai aur yeh sab cheezo ka qasoorwar government haa q ky woh strictly cheezo ko daikhte nahi ha ky Kon kaha pa yeh garbar kar Raha ha, balky usky bandy khud iss Mai mulawis hoty ha aur jo tajir yeh kaam karta ha USS Sy paisa ly kar usko free hand daita ha ky jawo jitny ka baijna ha bajo koi Kuch nahi kahy ga aur awam ko bole haa us expensive price ko government ki taraf Sy accept karky ly laity haa so sara nizam yaha pa toota poota ha

USA ke economy Pakistan ke nisbat kafi stable hy, hmarya han to last year interest rate 22% pr tha aur is saal 5 bar necha aya hy. Pakistan ka interest rate ka graph to ma na show kr dea hy. FED interest rate ka pattern is sa different hy. So mera khayal ma hmara interest rate Made in Pakistan hy aur is ma kisi aur ka impact nhi.
Imported items ke prices oper gai thee jb dollar oper gya aur ab jb dollar necha aye hn to prices zara bhe kam nhi hue.