Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
FLoving
on 25/12/2024, 11:20:01 UTC
Je Farhan bahi yahe tu ma be keh raha hun ke jaise jaise ye log grow karenge en ke dil ka zur khtam hota jayega hahahh aur pir ye log bs just am posto ki traf he jayengea . Ma ye keh raha hun ke ab banda saariii zindagi ye news wali poste tu mahe kar satka , aur es news post ki waja se hum jo value able points share karte hain tu pir wo ignore ho jata ha aur wo deserving hotu be ha. Ab kabi ruussian ya indian board ka chakr laga loo wahan oer apko hmri trah ye news post buhat kam melege aur am se posto ko buhat zyada daikenge aur un per merit's be share hote ha , russian ki tu samaj nahe ati per himdi ki tu ati ha wo log kabi English ma aur kabi roman urdu ma bat karte hain tu os postonke smaj be ati haaa.
Asal may yaha par ideas buhat kum hy hamaray section walo may. Hamaray logo may aik ye khaami hy k jin ki life set ho jati hy phir wo kamzor logo ki parwa nahi kartay. Yaha jo old log hy unko pata hoga k is forum may buhat expert Pakistani hy. Lekin wo ab zarurat feel nahi kartay k aur logo ko help karay. Aur esey be nahi hy k wo signature campaign may hy. Wo esay log hy jinko signature campaign ki zarurat be nahi thi.
bro aapki baat se agree karta hun yah hamare community fourm ma he nahe ya hamare mulk ma yahi rule cchla raha jo upper class ha unko garib logon ki fikra hi Nahin Hoti ha ao apni zindagi mein magan rahty ayazshi karty unki yahi koshish hoti hai kya garib Banda garib hi Raheaur ise bhi April class logon ki baat ki jaaye to unki koshish hoti hai ki apne aap ko dusre mulk mei set kar lo unhone paise is mulk se kamae hote hain lekin wo apna sab kuchh dusre mulk mein invest karte Hain uski min mujhe yahi hoti hni kyon ho samitiyan hy gaha py future nahe ha or bad governance bi wajah ho sakti hai likin pessa yha sy kama or dusra logon ka mindset ka sth khaal kar inhy niachny eakhna Baki ek yah mindset ko change karna padega agar Pakistan ko is forum per ho ya vaise real life ma tarqai karni ha islaey dusron ki madad kary agar waqia ham kamyab hona Chahta ha
Apki baat kuch had tak teek hy lekin humay is mamlay may zyada nahi jana chahiye q k kia pata unki apni majboriya aur zimadariya ho jis ki waja se time na mile.

Aur aik dosri baat mere zehen may hy k ye mulk taraqi tak karega jb yaha sb emandar hongay.