2025 ka year ap sub ko Mubarak ho.
Allah karay ke 2025 may hum sub apni kaamyaabia hasil karay. Aur financially sub stable aur mazboot banay. Aur is baad be kaamyaab aur abad rahay buhat sari khushyo ke saath.
Well maire taraf Sy bhi ap sabko bohout bohout new year Mubarak waisy Islamic month ky mutabiq hamara year muharram Mai start hota ha but haamy duniya ky Sath chalny ky Liya iss duniya ky calendar ko bhi follow karna hoga. So maire Dua haa ky Ap sab palty poolty , kush aur kuram rahy. Aur Zindagi ko enjoy kary. Waisy bhi time itne taize Sy guzar Raha ha pata nahi laghta kab Saal end Howa aur kab start.
Baki ap logo ny goal ka kaha TOH mairy goal Kuch khaas nahi just like alone Bhai ny kaha ik stable life ki kwahish rakhta hu aur sath Sath Yar bus shadi hojai, q ky yeh dono cheezy ik doosry Sy related ha stable hoga tab shadi Hoge. Aur waisy bhi bohout saare sardiya akily Mai guzar gaye ab koye hoona chahiya Jo Zindagi ky safar Mai hamsafr ban ky life guzary. Baki zyada ki demand Mai nahi karta maal aur dolat ko q ky jitna zyada hoga utna zyada hissab daina hoga so bus life achi guzy itna chahiya.