Happy 16 Anniversary of Bitcoin
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
First Sab ka Happy 16 birthday of bitcoin Ajj ka din Bitcoin ka safar 3 January 2009 ko shuru hua jab
Satoshi Nakamoto ne pehla block jo Genesis block ya Block 0 kehlata ha mine kiya. Is block ne Bitcoin blockchain ki buniyad rakhi aur Satoshi ko approx 50 BTC ka inaam mila jo ab tak kharch nahi kiya gaya. islay ya din Bitcoin ki birthday ka lay bara importantce ha
Is se pehle 31 October 2008 ko Satoshi ne Bitcoin Jo kah Peer to Peer Electronic Cash System ke naam se whitepaper shaya kiya Jo kah ma post kiya tha jisme ek aise nizaam ka imagination pesh kiya gaya jo central banks aur intermediaries ke baghair kaam kare. Genesis block ke andar Satoshi ne The
Times newspaper ki 3 January 2009 ki headline ka hawala diya
Chancellor on brink of second bailout for banks jo mamoli banking system par tanqeed thi.
9 din baad 12 January 2009 ko pehli Bitcoin transaction hui jab Satoshi ne 10 BTC Hal Finney ko bheje jo ek programmer aur cryptographer the aur unhone Bitcoin software ko uski release par download kiya tha. Yeh pehli martaba tha jab Bitcoin ka istemal as a digital currency hua.
Agle do saal tak Satoshi Bitcoin par kaam karte rahe updates release karte aur developers ke sath rabta rakhte. 2011 mein unhone project
Gavin Andresen ko supurd kar diya aur khud ghayab ho gaye. Unki adam mojodgi ke bawajood Bitcoin network taraqqi karta raha aur aaj yeh digital currencies ki duniya mein aik aham maqam rakhta ha Jo kah Last month $100k ko bi cross kar chuki ha