Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 08/01/2025, 16:13:48 UTC
Bhai baat ap ki sahi hai kuch aisa hona chahia kai ham community kai members kam az kam saal mai aik ya do baar mil saktai hai is American system kai sath laikin aik baat hai agar koi member afford ker sakta hai to wo party bee dai sakta hai. laikin problem yai hai kai hamarai mulki haalat aisai hai is waqat kuch logo kai liai karaya bee issue hai mai kuch ziada nahi kahta merai apnai haalat aisai hai mai Lahore sai Islamabad ka karaya kerna asan nahi hai per agar ham kuch aisa karai 1 maheena ya is sai bee ziada waqat dai ker dosto ko dawat dai to shaid kuch members ka get togather ho sakta hai jo kai acha agaz hoga crypto in Pakistan kai liai.

Ji is barya ma already eik proposal aya hy ITExpert ke trf sa ka eik community fund bnya jya jis ma sub log apna hisa dalyan aur un logo ke help krn jo event ma participate krna chahta hn aur finances ke wajha sa nhi a saqta.

Mera khayal ma eik event to hona chahya takya koe foundation to set ho. Phr uska baad next events Islamabad ka elawa bhe kisi city ma plan kea ja saqta hn jaisa ka Lahore ma. Us city ka intakhab kea jya jahan members ke tadad zayda ho. Bahar hal ya to abhi just eik proposal hy dekhna ya hy ka hum apna first event kb kr patya hn.