Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 1 from 1 user
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 11/01/2025, 11:16:27 UTC
⭐ Merited by ThemePen (1)

Is waqt pori dunya ke nazran America ka riasat California ma lagi aag pr hy jo bhujna ka naam nhi la rhi balka barhti he ja rhi hn. Ab ya aag kyun lagi hy iski main reason barish ka na hona aur teez hawain hn. BBC ka mutabiq is area ma october sa ab tk sirf 0.16 inches (0.4cm) barish hue hy jiski wajha sa area ma kafi dryness hy aur kyunka ya state sahil-e-samandar ko bhe touch krti hy to yahan kafi teez hawain bhe chalti hn. Kaha ja rha hy ka teez winds jinki spped 160km/h hy wo is area ma chal rhi hn. America jaisa mulk apni pori qowat laga rha hy ka kisis trh is aag pr qabo pa lea jya pr abhi bhe mukamil toor pr aag pr qabo nhi paya ja saqa.

Is aag ke wajha sa taqrabin 180,000 logo ko mehfooz maqam pr muntaqil kea ja chuka hy aur 10,000 ka lag bhaj ghar aur imeratan jal chuki hn.  Climate change bhe eik factor hy is aag ka lagna ka aur Climate change pori dunya ka masla hy. Jo log Rawalpindi region sa belong krta hn wo ya mehsoos kr rhya hn gy ka is bar sardi boht kam shidat sa ayi hy aur abhi bahir niklan to dhoop ma garmi lagti hy. Zarorat is baat ke hy ka pori dunya mil betha aur Climate change ka sadbad ka lea kuch amli efforts krya.