Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 6 from 4 users
Re: Pakistan
by
ITExpert
on 12/01/2025, 13:25:01 UTC
⭐ Merited by ThemePen (3) ,Publictalk792 (1) ,Compromise me (1) ,hafiztalha (1)
  Whitehat Hacker Recovers $1.5M in 2025’s First DeFi Heist

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto


Alert brothers 2025 ke pehle bade crypto hack me hackers ne Moby jo ek DeFi options platform hai Arbitrum network par, se $2.5 million chura liye. Yeh breach ek leaked private key ki wajah se hua jise hacker ne ek proxy contract ka istemal karte huye emergency withdrawal function activate karne ke liye use kiya. Churaye gaye assets mein 207 WETH aur 3.7 WBTC shamil ha, jin ki qeemat $687,000 aur $350,000 ha. Moby ne apne users ko tasalli di ke yeh unke protocol ke smart contracts ki koi kami nahi thi aur wo affected traders aur liquidity providers ko compensate karne ka wada karte ha



Ek hairan karne wale mod me whitehat hacker Tony Ke, jo Solayer Labs ke MEV researcher ha ne churaye gaye funds mein se $1.5 million USDC recover kiye. Ke ne hacker ke contract mein ek vulnerability identify ki jahan upgrade function unsecured reh gaya tha. Is flaw ka faida uthate huye, unhone churaye gaye funds ka aik hissa wapas le liya. Badqismati se unhone baqi rehne wale WETH aur WBTC sirf 30 seconds ke farq se recover karna miss kar diya. Moby abhi bhi losses ko compensate karne ka wada kar raha ha jabke baqi ka $1 million abhi recover hona baqi hai. Iske ilawa ek aur breach Virtuals Protocol ke Discord server ko affect karta ha jo ek compromised private key ki wajah se hua lekin issue ko ab resolve kar liya gaya ha info