Ma BBC pr parh rha tha ka Donald trump na kaha hy ka wo Preseident ka charge sambhal kr is app ky ban ko delay kr dyn gy aur is issue ko resolve krn gy. Tik Tok na is elan ka baad USA ma operations dobara start kr dea hn
Kal Tik Tok ka CEO na President Trump ke half bardari ke taqreeb ma bhe shirkat ke hy. To is sa lag rha hy ka President Trump aur
Asal Mai saara mamla yeh ha ky united states of America government ko TikTok ki yeh bohout bare revenue American sy hazm nahi ho Rahe ha aur isliya woh unko majboor kar rahy ha ky yeh profit Yani company haamy dy do daby chupy alfaaz mai, q ky unko Liya yeh possible nahi hoga ky koi platform America Sy paisa banai aur woh American company na ho yeh possible nahi ha. Aur tabhi toh Jo bhi bary bary company ha google Sy ly kar YouTube aur Facebook Sy ly kar Whatsapp, Instagram, messenger, thread ,Amazon, Tesla, star link, aur bohout saary companies sirf American based ha.
Ab is Sy TikTok ka bhi loss hoga but Sath Sath Jo waha ky residence is Sy paisa bana rahy ty woh bhi stop hojai ga so nuksaan dono ka ha aur Baki TikTok walo ki baat Sahi ha trump ik azaad khayal banda ha woh inko yeh azadi Sy mehroom nahi kary ga. TikTok par pahly bhi yeh ilzaam lagaty ty ky yeh nu****y pelata ha but is Sy zyada toh Instagram, Facebook aur Baki platform paila rahy ha but unko reason chahiya ta TikTok ko pakarny ky Liya aur saary game yahi ta.
21st Century Technology ke sadi hy aur ab Technology ke jang bhe start ho gai hy. Jaisa ka ap na kaha ka tmam bari tech companies USA based hn aur USA nhi chahta ka koe aise company USA ma aya jo USA government ka control ma na ho khas kr agr wo Chinese company hy to.