My Two Big Achievements 2025
Assalamualaikum warahmatullahe wabarakatuho
Wa alaikum Salam, wow g bohout ala apko bohout bohout Mubarak ho ab iss kushi Mai community ko ik party toh bante ha Kya kehty ho guys, itny bary country Yani USA jawo gy Jo ham jaisy logo ki khwaabo ki land ha toh Kuch Toh banta ha. But haa ik shart pa apun ap Sy party ki demand wali Baat ly ga agr apun ko wala pa ap Bula ly 😉
Baki apny goals par focused rahy koi aise cheez nahi Jo life Mai possible nahi ha bus Banda patience wala aur kaam ky Sath consistent hoona chahiya tabhi cheezy apny grip Mai ayai ge aur ap ussy easily avail kar sako gy. Baki Mai Kuch nahi rakhta jawo Zindagi enjoy karo
Pakistan ne ek finally Esports ka compition jeet lia or medal le lia. Sub se phela jin logon ko ni pta k Esports kia hai toh bata chalun k yeh ek bht bari event hota hia gaming ka. Jo iss dafa Saudia mai hua and tha and cricket or football k dono ka mila k jin ta pesa Esports mai laga utna kisis b cricket ya football wale pr ni laga hai, ab khoi b gaming ko halka ni le skhtha. Jo yeh jeeta hia us ka naam Shaheen hai or iss ka yt channle b hia named Shaheer Knows
Guys basically
eSports ka Matlab hota ha
Electronic Sports Yani har woh sports Jo hum electric device yani console (play stations/ Xbox) ya computer ky through kail saky . So waqi Mai Pakistan ka player football aur cricket ky eSports tournament Mai achy nahi ha but agr daikha jai toh Pubg Mai achy haa aur agr win nahi Kiya toh achi position pa aaty ha
Isky ilawa hamara ik legendary Banda ha Arslan Ash Jo ky Pakistan ko eSports ki world Mai represent karny wlaa first 4 time consecutive world teken champion ban chuka ha aur still continue ha. Ab usky Sath kafi bandy agai jo achy spots par aaty ha aur saara cream Arslan ko jaata ha Kyu ky us ny motivate bhi Kiya aur prepared bhi.