Bitcoin fall to below 105k$ to 99k$
.
Agar hum graph ko dekain tu zada tar point up to down Nazar aye ga yani KY stable nai ha up SE down a Raha ha Jo KY 105k$ SE hota hoa ab tak 99k$ tak a gia ha. Abhi bi ye or down ho ga zada SE zada 97k$ tak jaye ga Jo maximum price ha Jo KY Mery hisab SE samj me Ata ha baqi itna bi na jaye or is SE zada bi ja sakti ha.
Agar market ko dekhien bitcoin he nhi balky sari ke sari market craches chal rahi hai halana k SEC ny do teen ETFs b approve kiye hain aur is k bawajood b Itni achi achi market mein developments hoien hain lekin market dip seekh ke baad wapas ane ka naam nahi le rahi. BTC ki price pehle aim support break ki abhi ye doosri support bhi break karti hui nazar aa rahi hai. Aur agar ye silsila na ruka to BTC ki price mazeed neeche 94k ko dobara touch kar sakti hai.

It all depend ye jo current situation chal rahi hai ye continue rehti hai ya nahi. Situation kya hai k Donald Trump sahab jo hain wo tariff terror khel rahe hain. Duniya ki jo world economies hain badi bad wo aik doosre ko dhamkiyon pe dhamkiyan laga rahi hain. Pehle Donald Trump ne kaha jee hum Canada aur Mexico ke upar tarif, yaani jo cheezein import hoti hain unke upar tax lagaya jaye. To pehle unhone lagay aj ki khabar hai jo Canadian Prime Minister hai unhone bhi tariff lagane ka keh diya.
To ye saara jo world politics hai iske tamashe chal rahe hain is wajah se market mein thoda sa pressure hai. Iske ilawa kuch aur bhi factors hain. Donald Trump ne sirf waise hi umraaz saari market ka bera gharq nahi kiya balky aaj se chand hafte pehle market mein bada hot narrative tha jahan log investment karte the pendant time 100 times ke profit book karte the. Woh thi AI agent market. To wo bhi AI agent market mein Donald Trump ke apne aur uski family ke jo tokens aye hain uski wajah se saara jo gamblers the wahan se paisa nikal ke yahan pe dump kiya. Lekin asal masla yr hai ke kya market recovery karegi ya nahi Mujhe aise lagta hai ke ye short term volatility market manipulation hai. Aur ayn mumkin hai market dobara recovery kare.