Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Compromise me
on 05/02/2025, 19:54:57 UTC
Kashmir solidarity Day
5 February

AJ ka din hum sab KY Liye aik afsos Wala din ha kuin KY 5 February ko ham sab hi janty ha KY is din kia hoa tha or ye din kuin manaya jata ha. Is din me hamary piyary or koobsurat kashmir me bohat tabahai machai Gai thi or us me choty choty bachy or old man thy Jo KY shaheed ho gye ty. Or AJ tak hum Pakistano SE aik Kashmir azad na ho Saka or ye kayamat tak azad na ho paye ga. Is din me hamy bohat Kuch seekny or yad krny ko milta ha. Jesa KY bachon ki shahdat or is KY elawa Kashmir KY log apni azadi KY Liye insafi mangna or apny Haq KY Liye larna. Magar ye sab hum Bhool gye hain or is din ko hum NY chutti or Sirf sochny KY Liye bana dia ha Jo KY hamary Bhaio KY zakmo ko taza krta ha.

Bhot asha keya apny ye post ke aur sab ko 5 feb ka yaad delaya kuah saal pehle tak 5 February ko poore Pakistan mein  chhutti hua karti thi lekin is baar aisa nahi hua. Is ki aik badi wajah ye hai ke hamare zehno se ye baat taqreeban mit chuki hai ke 5 February ko chhutti kyun di jati thi.

Darasal ye din Kashmiri awam ke sath izhae yakjehti ke liye makhsoos kiya gaya tha. Is din ko manane ka maqsad ye tha ke humein hamesha yaad rahe ke Kashmiri awam apne buniyadi huqooq ke liye jiddojehad kar rahe hain aur hum unke sath kharay hain.

Ye din 1990 mein aik qarardad ke zariye manzoor kiya gaya tha taake Pakistan aur Kashmir ke logon ke darmiyan taluqaat ko mazeed mazboot kiya ja sake. Taham waqt guzarne ke sath sath is din ki ahmiyat kam hoti ja rahi hai aur ab to humein Kashmiriyon ki mojooda soorate haal ke bare mein bhi zyada ilm nahi. Zaroorat is amar ki hai ke hum is din ki asal rooh ko bahal karein aur Kashmiriyon ke haq mein apni awaaz buland karein na k buljien.