lekin agar baat ki jaaye hamare barsgir ki Pak or Hind ki to Yahan per Valentine de ko ek galat nazarr se dekha jata hai
Brother hum agar religious point of view se baat kren toh sirf musalman hi is cheez ko ghalat nazar se dekhte hain kyunke is din ko behayai phelane ka aek sbse bada zariya maana jata hai jo k hum khud b dekh skte hain, lehaza hum yeh nahin keh sakte k Hindustan (India) is cheez ko ghalat smjhti hai qk India ki aksariyat Hinduon ki hai aur wo log is cheez ko celebrate karte hain na k ghalat samajhte hain... Baqi agar baat kren Pakistan ki, toh afsos k sath kehna parhta hai k aaj kal hamare mashre men bhi yeh cheez boht aam hogai hai... Couples badi khushi se valentine's day celebrate karte hain.
Jahan tak baat celebration ki hai, is baat men kuch ghalat nahin hai k aap aek dosre ko gifts do, bhale aek sath kisi achi jaga pe jaa k dinner kro aur acha waqt guzaro, lekin sabse bada masla yeh hai k log is din ko romance aur bodily interactions ka aek moqa samajhte hain jo k ghalat hai qk islam men yeh cheez jahiz nahin.
Khair, hamare khayalat aur hamare kehne se konsa logon ne ruk jana hai, lekin yeh baat hai k yeh cheez muslmanon k culture men nahin hai aur logon ko yeh cheez smjhni chaiye k unko apne religion k khilaf nai jana chaiye, lekin baat phir wohi hai k log iske elawa knsa islam ko follow krte hain.
