Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 22/02/2025, 06:16:54 UTC


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Bybit aik cryptocurrency exchange hai jo 21 February ko hack hogaya jisme hacker ne $1.4 billion se zyada staked Ether, Mantle Staked ETH aur doosre ERC-20 tokens chura liye. Onchain analyst ZachXBT ne is hack ko pehchana aur logon ko hacker ke addresses blacklist karne ka mashwara diya. Bybit ke CEO Ben Zhou ne is baat ki tasdeeq ki aur bataya ke hacker ne exchange ke multisignature wallet se transfer ko manipulate karke smart contract logic change kiya. Zhou ne users ko tasalli di ke Bybit ab bhi stable hai, sab clients ke assets safe ha aur withdrawals normal chal rahe hain. Lekin is news ke baad Ether ETH ki price 3% gir gayi. Link

Ye waqia 2025 ke shuru mein crypto hacks ke barhte hue rujhan ka hissa ha. 14 February ko ZkLend, jo Starknet par ek protocol hai, $9.5 million kho baitha magar Railgun ne funds wapas le aaye. Iske ilawa Jupiter decentralized exchange aur Malaysia ke ex-Prime Minister Mahathir Mohamad ke social media accounts bhi hack huye jahan hackers ne fake memecoins promote kiye. Eliza Labs ke founder Shaw Walters ka bhi X account hack hogaya halaan ke uske paas two-factor authentication bhi thi. Ye sab waqiyat crypto industry ki barhti hui security problems ko dikhate ha in my opinion exchanged track kar skati ha agr recovery krna chaye ya Inki koi game ha

Crypto experts is chori ko crypto ke history ka sub sa bari chori qarar dy rhyn hn. 1.5 arab dollar malyeat ka Ethereum related token chori hua hn. Hacker na Ethereum Cold wallet ke access hasil ke aur tokens ko withdraw krna ka baad eik decentralized exchange pr in tokens ko swap bhe kr lea hy.  Is chori ka baad Bitcoin aur Ethereum ke prices ma kaf kam ayi hy jabka dosra altcoins jaisa ka XRP, Solana aur Dogecoin hn unki price ma 10 - 12 % kami dakhni ko mili hy.

Ab mera sawal ya hy ka ky Bybit exchange is nuqsoon ko akala khud bardast kra ge ya phr users ko bhe is ka bojh bardast krna pra ga? Mera khayal ma to ya nuqsaan Exchnage ke galti ke wajha sa hua hy aur users ko is loss ko bardasht krna nhi bnta.

Eik aur cheez jo phr sabit hue hy wo ya hy ka Central Exchanges jitni bhe secure hn un ma hacking possible hoti hy. Ab agr is chori ka baad ByBit Exchnage apna ap ko Bankrupt qrar dy to users ke investment to VAAR gai na?