Mujhe nai lagta k wo users pe iska bojh dalenge kyunke ghalti unki apni hai k wo apne multi-sig wallets ko bhi puri tarha secure na rakh sake aur hackers ne un tak rasai hasil kr k tokens nikal liye... Industry k kafi bade longon, jaise k CZ Binance aur Justin Sun, ne bhi is bare men tweet kr k kaha hai k unki agar madad ki zrort hogi toh wo hazir hain, baqi jahan jahan tak yeh tokens deposit kiye gaye hain kuch platforms claim kr rhe hain k unho kuch funds freeze krliye hain jo is hack se related hain, ab end result kia nikalta hai wo sbko nzar ajaega...
Agar ByBit bankruptcy announce kr k users k funds wapas na kare toh yeh unka end hi hga aur uske bad yeh exchange khtm hojaega FTX ki tarha lekin FTX ka case kuch alag tha aur yeh alag hai, lekin umeed yahi hai k wo aesa nahin karenge aur jin jin users k paise gaye hain unko compensate kiya jaega.
Aur sahi kaha k yeh industry ka sbse bada hacking ka waqiya hai qk itne paise shayad pehle kisi hack men nai chori hue honge jitne is men hue hain... Shocking hai, aur market b affect hui hai isse, lekin yaqeenan recover krlegi jaldi hi.

Eik Cheez ke clarity to a gai hy aur wo ya hy ka ByBit ka pass kafi reserves hn. Is baat ka pata aisa chal rha hy ka is hack ka baad qariban 5.3 billion dollar ka wthdrawal hua hn ByBit sa aur azad auditors ka kehna hy ka BybBit ka pass reserves zayda hn liabilities sa. Yani ka jitna ByBit na users ko ada krna hy us sa zayda paisa ya tokens exchange ka pas majood hy.
Hmarya mulk pr X to ban hy lehaza VPN laga kr check krna prta hy ka officals na kya details share kee hn. Crypt ke mostly news X pr share ke jati hn. ByBit officials na X pe technical details jo share keen hy uska mutaiq unka smart contract ke logic ko change ke hy aur hacker na transfer ka duran apna address dea jo zahr nhi ho rha tha.