Agar hum 3rd match bi har jayen, jo kai harain gai, inShaAllah.. to teno match harnay kai baad semifinal mei kaisay qualify ker saktay hain ? konsi team kis sai haray to hum qualify ker jayen gai ?
jaldi jaldi sab hisab laga kai batain, takay phr duain aur bad-duaain shuru ke ja sakain. shukria
Bus bhi kardo ap rulawo gy Kya. Already team performance na hamare halat tight karde ha aur opper sy ap aise baaty karky hamary zakhmo par namak daal rahy ha. Ab Pakistan ka Kuch nahi ho skata yeh clear cut champions trophy Sy out ha aur mujy nahi laghta ky last match Sy Kuch farq pary ga yeh comeback karyngy but seedha yaha Karachi ya Islamabad airport pa aur Kuch nahi isky agy. Pakistan tab tak Kuch nahi kar Pai ga jab tak yeh tuck tuck ka riwaj hi khatam na hojai
Ha yeh abhi recently ik post pare geo ki taraf Sy toh woh Keh rahy ty ky agr India new Zealand ko hara dy aur Bangladesh bhi new Zealand ko hara dy ko ky possible hi nahi ha aur phir last Mai pakistan Bangladesh ko big big margin Sy hara dy Jo abhi just khayali pulawo ki Tarah ho Gai ha jo hum just khwabo Mai pakaty ha so bus hum khwabo Mai pakistan ko champions trophy jitwa dyngy haqeeqat Mai toh inki bas ki nahi rahe