North Korea's $1.5B Crypto Heist السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Kea haal ha mry pyary dostoFBI ne North Korea par ilzam lagaya hai ke usne ByBit, jo ek Dubai ki cryptocurrency exchange ha se takreeban $1.5 billion chura liye. Ye tareekh ka sab se bara cyber chori ka waqia mana ja raha hai. Churi kkya gaye paisay pehlay virtual currency mein thay magar ab kuch hissa Bitcoin mein badal diya gaya hai aur hazaron blockchain addresses par bhej diya gaya ha. FBI ne warn kiya hai ke ye paisay aage chal kar saf kar diye jayenge aur aam currency mein badal diye jayenge. Ye hacking North Korea ke TraderTraitor naam ke campaign ka hissa hai, jo advanced malware aur social engineering Karen istemal karke cryptocurrency chori karta ha

North Korea ka ek mashhoor hacking group Lazarus Group is se pehle bhi bohat si baray peemane par chori kar chuka hai, aur andaza hai ke pichle kuch salon mein $3 billion chura chuka hai. Mana jata hai ke ye paisay North Korea ke nuclear aur missile program ko support karte hain. UN officials ka kehna hai ke North Korea cybercrime ke zariye international pabandiyon ko chakar de kar apni fauj aur missile program ke liye paisay ikattha kar raha hai. Iske ilawa North Korea ne Russia ko hathiyar aur fauj bhi bheji hai paisay aur technology hasil karne ke liye. Economic problems aur pabandiyon ke bawajood North Korea cyber attacks, arms trade, aur chhoti tourism ke zariye paisay kama raha hai. ByBit jo is baray fraud ka naya shikar bana ha ps nay ne cyber security experts se madad maangi hai taake churaye gaye paisay wapas hasil kiye ja sakei
info