Mehangai ke satai hue awam ka lea eik relief. Dar he sahi pr chalan kuch aya to sahi. Government na bajli ke price ma fee unit 7.41 rupee kami ka elan kea hy aj. Is sa pehla Government na new solar policy bhe mutarif kri hy jo logo ma pasand nhi ke gai. Ab bajli ke prices kam kr ky Government ya chah rhi hy ka log solar ke trf na jya balka Government he sa directly purchase kra.
Bajli ke prices to waqai boht zayda hn aur agya garmi a rhi hy aur ghr ka budget ka eik bra hisa bajli ka bill he ma nikl jata hy. Ab confusion ya bun gai hy ka aya Solar ke trf move kea jya ya bajli Government sa he le jya?
Yeh wo wali baat hogai k 2,000 wali cheez pehle 4,000 men becho aur phr uspe 50% discount ka tag lga k awam ko bewakoof banao... Businesses yeh yahi sab chalta hai, jo hum 70% ya 50% discount dekhte hain brands pe wo asal men discount nai aek marketing tactic hai jiske chalte wo logon ko apne business ki taraf mutwajja karte hain, aur hamari government bhi hamare sath yahi game khel rhi hai, pehle mehngai kro, cheezon ko keemton men izafa kro, aur phr jo barhaya hai uspe thori si kami krlo aur awaam phoole na samaye k humare liye kitna kuch kiya jaa rha hai...
Bhai yeh chooran sirf un logon ko bechi ja skti hai jinko in cheezon ki smjh nai ati, lekin ab ziada tar awaam smjhdar hogai hai aur unko pata hai k hamare sath kis tarha aur kon konsi games kheli ja rhi hain, aur agar koi phr bhi nahin smjhta aur sochta hai k hamare rehnuma toh farishte hain inse acha koi hai hi nai toh wo inteha k nasamjh log hain.