Cash to Crypto, Bitcoin Buying Now at Swiss Train Stations
Bohout hi behtareen news ha yeh market ky Liya q ky jaha traffic ky news ny market ko crash Kiya toh doosre taraf aise news ny dobara revive Kiya Bitcoin ko aur bad Mai jab trump ny woh tarrif pause announced Kiya toh market poore taraf recovered aur mustahkim hogaya. But ab daikhna yeh hoga ky trump is tarrif pause duration ko increase karta ha ya nahi agr hogaya toh teek agr nahi toh hum dobara ik crash ki taraf ja skaty ha q ky stock jab crash hota ha toh uska direct effect hamary market par parta ha cahhy koi ahm nata hi q na ho. So 89th day pa entry closed karlo Jo bhi open ho for safety
Bohat saray bhaioo nay msg kiay aur Itnay saray msgs ka bawojod bhi he is not logging into bitcointalk aur koi pata ni k humaray Syed bhai kahan hein ? Kisi k pass aun ka number hy ya telegram p rabta ki kosish kerin. Woh last 31 March ko bitcointalk p login huey thay Aur i think woh Eid ka din tha. Eid ky baad woh offline hogay hein. itna lamba arsa woh kahbi offline ni rahay. Hosaktay hy k out of country gayee hon ya Umrah p gayee hon but bata k jana chayee tha na

Ha woh kabhi istrah offline nahi howy toh Isliya log soch rahy ha ky koi khaas reason Hoge usky peechy. But jistarah ap ny kaha ky Umrah ky Liya toh Umrah ka main aur best time Ramzan ha usky baad Kon jata ha. Mujy jitna laghta ha Kuch masroofyat ky bais available nahi hongy ya unki sehat abhi is cheez ki ijazat nahi daita hoga ky woh baith ky forum ko time dy aur hamary Sath update share kary.
Ab kareeban 20 din sai ziada ho gai hai wo online nahi aai yaha forum per mujai lagta hai masrufiat ho sakti hai Umrah ka time to nahi hai ab kiunkai wo log ziada ter Eid kai baad kuch din hee ruknai daitai hai phir hajj ka intizam shur ho jata hai.
Waisai yai bee pata chala hai wo telegram per online show ho rahai hai laikin reply nahi dai rahai jo kai hai to ajeeb laikin yai bee ho sakta hai computer on honai sai wo online show ho jai laikin wo koi aur chala raha ho baki Allah Pak sab per raham karai aur apna karam banai rakhai.
Merti kai liai Happy Easter bee aa gia hai acha hai
