Happy Labour Day
Assalamualaikum
All community member are good
Labour Day har saal 1st May ko manaya jata hai. Yeh din mazdooron ke huqooq aur unki mehnat ko salam karne ke liye hota hai. Is din ko manane ka maqsad yeh hai ke society ko mazdooron ki ahmiyat ka ehsaas ho. Labour Day ki shuruaat 1886 me America ke sheher Chicago se hui thi, jab mazdooron ne 8 ghante ka kaam ka waqt hasil karne ke liye protest kiya tha. Aaj ke din duniya bhar me rallies, seminars aur programs ke zariye mazdooron ke huqooq ko ajagar kiya jata hai. Yeh din humein yaad dilata hai ke har taraqqi me mazdoor ka bara hissa hota hai.
Wao, G bilkul Mazdoor kisi bhi mulk ki taraqqi ki buniyad hota hai aur Har saal Labour Day manany ka maqasd ye he hota hai k in ki qurbaniyo ko yaad rakha jaye. Magar afsos ke sath kehna parta hai ke aj bhi kai ilaqon mein mazdoor apne bunyadi huqooq se mehroom hai. Wo din bhar mehnat karta hai na dhoop dekhta hai na barish sirf apni rozi halal kamaane mein masroof rehta hai.
Humein chahiye ke hum un ke haqooq ka tahafuz karen. Har mazdoor ka ye haq hai ke usay uski mehnat ka poora sila diya jaye. Aj ke door mein jab mahangai asmaan se baatein kar rahi hai bachary mazdoor ki ujrat utni hi rehti hai. Ye intehai na insafi hai ye to hamri government ko he chahiye ke minimum wage laws par amal daramad karaye. Har shehri ka farz hai ke wo mazdooron ke haq mein awaz uthaye. In ke liye behtar kaam ka mahaul aur insaf ka nizaam hona chahiye.