Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 2 from 1 user

Re: Pakistan
by
Alone055
on 04/05/2025, 12:08:08 UTC
⭐ Merited by Cheema02 (2)

Anyway waisy ik Baat Kisi ny note ki ha abhi duniya Israel  boycott ko thoora serious ly rahy ty aur especially Pakistan Mai but jo hi yeh India Pakistan ka scene start hogaya Palestine ko sab Bhool gai toh ap nahi smajaty kafi na kafi Israel ny duniya ki nazry apny ap Sy hatany ky Liya India ky through yeh drama rachaya

as abhi woh mukamal gaza ko hamwaar Karny ky mission pa ha so zyada duniya ka un par focused hona unky Liya tek nahi toh yeh scene start Kiya ap Kya samajty ha aisa Kuch ha ya just mujy lag raha ha

Mere bhai aaj kal dunya men ziada tar jitne bhi hamle hote hain khas kr tab jab wo begunah awaam ko marne k liye ki jati hain unke peeche koi na koi political agenda hota hi hai qk sochne wali baat hai k kisi bhi adaare ko ya kisi bhi liberation army ko begunaah logon ko maarne se kuch nahin milega aur wo yeh cheez karte bhi nahin hain bhale jitni zalim party ho bhale apni azaadi ki jang larh rhe hon ya koi mulki dushmani ho, jab bhi is tarha k hamle hote hain aur aam logon ko maara jata hai, uske peeche koi political chaal hoti hai.

Lehaza, yeh jo hamla hua hai ismen koi na koi chaal toh zaror hai, ab is hamle se kisko kia mafad mile hain wo toh hum yaqeeni tor par nahin keh skte lekin yeh baat toh wazeh hai k yeh koi aesa hamla nahin hai jismen muslmanon ne ya kashmiri liberals ne hinduon ko mara hai qk wo agar maarna chahte toh forces ko maarte na k begunah awaam ko.

Jo samajhdar log hain wo is cheez ko samajhte hain, baqi India ki jo awaam hai wo intehai bewakoof hai qk unko lagta hai yeh Pakistan ne kiya hai jb k yeh ho b skta hai lekin ismen koi logic wali baat nai hai qk Pakistan ka ismen koi khas faida nai hai.