Haha yeh badhi deep baat khi yaar ap ny, yeh line mujhy hit kr gai, abhi mera dil kr rha 500 1000 ka loan loon idr sy or bhool jaon, burgon ki batain manni chahiya yaar, is my taraqi hai hamary liya haha, Allah maaf karay, apki baat bilkil thik hai qarza insan ka last option hona chaiya, ap ky pass assets hai ap un sy guzara kro, jb dekja ky pass khuch nhi to tb ja kr qarza loo, lekin ajkl qarza lena or deny my deri asy ho gai hai sb ilm ka km hony ki waja sy.
I hope ky General_Bitcoin active hon or kuch update dain shahzadafzal sir ko, as his question about him is his right, beshk amount un ky liya koi mani na rkhti hon, khuda shahzadafzal sir ko mazeed dy or in ky maal mai barkat daly.
Nai ye 500 1000 kaya rupy? Yaa $? Agar 500 1000 pkr hai to phr toheen hi hogi hahahaha. Wesy buzurgon ki baton par amal karna chahye. Wesy ek bat or hai ky jo matlab ki bat hoti hai wo barri jaldi smaj aati hai or ham pick karty hen. Hahaha
Ab zara serious ho jaty hen wo yun ky qarza to ek esi cheez hai jo qabar ky bad hashar my bhi jaan nai chorta. Yani jab tak jiss sy qarz liya hai wo muaf nai kary gaa muafi wala bhi koi seen nai hai. Yani jesy hmari shariat ny kaha hai. Issi liye har janazy par ilaan hota hai kissi ny mayyat sy kuch lena dena hai to wursaa sy rabta kary. Agar nai to Allah ki raza ki khatir muaf kar dy.