Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
qurbanshah02
on 28/05/2025, 09:33:16 UTC
To Day Proud

"Youm-e-Takbir: Pakistan ka Fakhar aur Difa ka Din"


Assalamualaikum
All community member are good

28 May Pakistan ki history ka aik bohot important din hai jo Youm-e-Takbir ke naam se manaya jata hai. Is din 1998 mein Pakistan ne 5 underground nuclear tests kiye thay Chagai Balochistan ke Ras Koh pahadon mein. In tests ke baad Pakistan duniya ka 7th nuclear power aur Muslim duniya ka pehla nuclear mulk ban gaya tha. Yeh tests India ke 11 aur 13 May 1998 ke nuclear tests ka jawab thay taake region mein power ka balance barqarar rakha ja sake. Is din Pakistan bhar mein jashan manaya jata hai jisme flag hoisting speeches national songs aur science exhibitions waghera hoti hain.

Log is din un logon ko tribute dete hain jinhon ne Pakistan ko nuclear power banane mein kirdar ada kiya  jaise ke Zulfiqar Ali Bhutto (jis ne program shuru kiya) aur Nawaz Sharif (jis ke dor mein tests hue). 28 May ko national holiday bhi hoti hai taake logon mein unity aur defence ka awareness barhe. Is ke ilawa 28 May 1930 ko Takkar massacre bhi hua tha jab British fauj ne Mardan ke Takkar.