Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 14/06/2025, 18:01:53 UTC
As expected. Main toh pehle hi keh rha tha k inke tareeke mjhe smjh nai aa rhe k legality ka ahlan krne se pehle hi council bana di gai, mining aur crypto reserve ka bhi ahlan krdia, ab crypto council k chairman idhr udhr ghoom phir rhe hain sarkari kharche pe jab k mulk men abitak koi firm stance nai hai crypto se related.. Dosri taraf State Bank ne bhi saf keh dia hai k abitak crypto legal nai hai jiska mtlb hai k yeh jo kuch horha tha wo sab aek publicity stunt k elawa kuch nai tha qk jab tak firm results nai nazar ate is sab ka koi faida nai hai.

Jb sa Finance Secretary Imdadullah Bosal na ya elan kea hy ka crypto Pakistan ma ban hy tb sa PCC ka CEO Bilal bin Saqib bilqil kamosh ho gya hn. Agr ya he announcement krni the to phr Binance ka CEO CZ ko bula kr PCC ka strategic advisor bnana ke kya zarorat the? Ab budget ma bhe bilqil kamoshi hy crypto ka hawala sa, to ab sirf wait he kea ja saqta hy government ke next announcement ka. Dekhta hn PCC ya Finance ministry ab kya elan krti hy.

Je bro hum sub ko es bare ma elam ho geya ha aur zayada tar logo ne tu Pura speech daik leya hoga . Ue budget awam ke kamar per ek aur bhoj ha halanke hona ye chye ta ke awam ko relief deia jaye. Khair bat karte hain crypto ki tu muje aysa lagta ha ke en ke pas es ke leye koi oroper structure aur polices nahe ha aur yahi manin waja muje nazar ati ha ke unka bilkul he zikar nahe keia geya. Aur dusri waja ye be ho sakti ha ke crypto abi abi bat start huwi ha jo ke Pakistan es position ma nahe ha ke wahn se earn kare tu jab koi profits nahe hoga tu budegt ma kaise shamil karem budget ma tu profits aur losses ki bat hoti ha ke kaaise losses ko kma kare aur profits ko zyada.

Bhai mera khayal ma to IMF ka pressure hy jis ke wajha sa crypto ko pecha kr dea gya hy. Jaisa ka hum sub ko pata hy ka hum fully dependent hn IMF pr aur hmara budget deficit bhe IMF ka qarz sa pora hota hy. To IMF is position ma hy ka hman dictate kr saqya ka hum kya kr saqta hn aur kya nhi.