Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho.
Je bhi ma ne suna ta es ke bare ma per ma ne es ko follow nahe keia , waja ye ti ke trump aur elon kafi qareeb agaye te ek.duste ke sath aur enho ne takrebn kafi sare projest karne te aur ek business man kabi be apne business ko nuqsaan nahe daiga balke wo es ko mazed acha karega. Tu muje aysa laga ke ye log waise he market ma bs apne naaam ko trend per chalo rakna chahte te aur ye hot topic strt ho geya aur end ma daiko pir se enki dosti ho geya . Tu ye bs ek fake jagra ta i think so aur abi jo cheex unko melno te wo mel gaye aur jagra khatam hahhaa
Ge yeh to apny thik kaha or asa hi tha, yeh 1 public stunt bi hoskta or bohat bhtreen tariqy sy yeh stunt kra dono ny lekin trump ko to kisi kism ki publicity krny ki zarorat hi nhi thi wo to already kafi hot topic hai, hr waqt news pr zuban pr wohi hota din may 1 2 baar uska naam to zuban pr ahi jata hai hr us bndy ky jo market my betha hai chachy trading kr rha ya nhi.
Elon ko dekha jay to 22 june ko wo wesy apna 1 new project launch krny ja ha hai to hoska hai usi ki publicity krny ky liya us ny yeh sb kuch kiya ho lekin us project ka khi bi us ny koi ziqr nhi kiya, khair is post ka main purpose hamain btata hai ky is my elon ko billions of dollars ka nuqsan ho rha tha jbky sources ky mutabiiq elon ny sirf 270 million dollar hi trump pr lagain hain hoskta hai or bi lagain hon lekin abhi to itna hi dekha mai ny news mai or idr Qatar ny 400 million dollar ka plan gift kr diya to ab trump ki nazar my oil companies ko benefit dena zayda important tha ba nisbat elon ko deny ky smj rhy ho na. Elon ny to paisy bi km lagay trump pr jbky Qatar ny zayda lagau to isi liya Trump ny jitni bi subsidries khtm ki wo Electric vehicale ki ki or jitni bi subsidaries my izafa kiya wo oil companies my kiya to baki ap khud smjdar ho yeh bnda trump 1 girgat hai, haha paisy ky liya apna rng badl deta hai.