[...]
Ye war mujy nahi lagta kahin khatam hony kaa naam ly gi.
Bohat mushkil hai ky Iran hathyar daaly ga. Muslims ki tareekh dekh len kabhi esy nai huwa ky Muslims hathyar daal den. Ghaddaar nahi Muslims ki bat kar raha hun.
Ab agar Iran Strait Of Hormuz ko band karny main kamyab ho jata hai to 20% Oil circulation rukti hai to zahir c baat hai world economy par asar parry gaa or jesaa ky ap ny kaha definitely Bitcoin par bhi asar parry ga.
Lekn ye ek positive point bhi hai ye sab cheezen Bitcoin ko mazeed ek behtreen investment bana rahi hain. Agar ye hoga to baqi cheezon ki nisbat log Bitcoin main investment ko zyada safe samjen gy.
Israel or USA ka propaganda un kai hee heelaf chala gia hai aur Iran nai resistance mai tareeh raqam ker dee hai aisa jawab sirf Irani qom hee dai sakti thee in ko aaj USA nai announcement ki hai ceasefire ki jo Israel ki taraf sai tha. Baki agar Muslim countries aik page per na aai to issi tarah maar khatai rahai gai aur nuqsaan uthai gai.
Bitcoin wapis apnai level per aa gia hai aur ab phir sai $105K per trade ker raha hai ab umeed hai yai new ATH touch karai ga kiunkai is kai hawalai sai achi updates aa rahi hai aur kuch countries policies laa rahai hai ji is ki price per acha asar chorai gai.