Government to Tax All Bank Transactions Reference
Doston aik interesting news, 1 July sy Government ne sab bank transactions par tax lagana start kar diya hei jis me non filers ke leye zada rate rakha gya hei. Ab
filers users ko daily 50k RS se zyada nikaalne par 0.3% aur
non filers ko 0.6% tax dena hoga. Banks ne bhi apne charges barha dei hei jaise ATM fees, card fees aur SMS alert charges. Doosre banks ke ATM use karne par fees double kar di gae h 18 sy 34 RS aur cheque ke zareye 20k rupay ya us se zyada nikaalne par non filers se extra paisay kaat liye jayenge. Rozana withdrawal limit bi card ke type ke mutabiq rakhi gaye hai. In new taxes aur fees ki wajaa se customers naraz hain personally m khud. Log is baat sy be khof zada kar rahe hain ke ye measures logoon ko cash system ki taraf le ja sakte hain.
Dunya ma hr government apna logo sa tax lati hy aur agr hmari government tax ly rhi hy to kuch alag nhi kr rhi. Asal issue ya hy ka developed countries ke government jb Tax lati hy to badla ma apni awam ko eik ache standard wali life dati hy. Hmarya han bus sirf Tax pr zoor hy badla ma hman kya milta hy ya hum sub achi trh jantya hn. Aur ya baat bhe ahem hy ka ky non-filers is trh ka tax dy kr bhe fayda ma rehta hn jabka filer pehla to pora saal tax bharta hy aur sb is qism ka taxes ma bhe uska hisa daal dea gya hy. Afsoos.