SBP Confirm Pakistan's Digital Currency Coming Soon ReferenceHello Guys!
SBP aik digital currency ka pilot project launch karnee kii tayyari mein hai. SBP ke governor Jameel Ahmad ne kaaha ke digital currency aur virtual assets ke liye kanoon bana ya ja raha hai. Unka kehna tha ke SBP new rules ke zareye virtual assets ko regulate karega. Is project ke liye kuch tech companies ke sath mil kar kaam ho raha hai. Governor ne kaha ke is field mein kuch risks hain but bhot zyada opportunities bhi mojood hain. Unka kehna tha ke in risks ko samajh kar agay barhna zaroori hai. Sath hi Government of Pakistan ne officially "Virtual Assets Act 2025" approve kar dia hai. Yeh act crypto aur digital finance ko regulate karne ke liye tayar kiya gaya hai.
MATLAB we are just near to crypto taxes. Itna jigra agar SBP ny nikaal hi liya he to Zara taxes ky liye bhi tayyar ho Jaen. Taxes dena har citizen ki zimedari he lekn Uss Surat my jab citizen ky maal Jaan ki hifazat Ka bhi zima Kiya Gaya ho. Par yahan to qanun hi Ulta he. Topic ye nai he so topic ki taraf aaty hen.
Ye ek bohat achi development he or agar bilfarz ESA HOTA he to Kam az Kam Pakistan ky pass virtual assets ky liye koi policy to ho gi naa. Ab BSS ek official announcement ki zrurat he ky Crypto is legal in Pakistan. Jo ky filhaal IMF hony nai Dy GA. So dekhty hen Pakistan kesy game khelta he. But koi naa koi big announcement any wali he. Jab aye gi abhi ye kehna mushkil he.