Aur ya tariqa boht safe bhe hy. Kyunka Pakistan ma crypto ka status abhi bhe illegal hy aur jis trh government back foot pr ja rhi hy IMF ka pressure ma lug to yahi rhi hy ka crypto abhi kuch arsa tk illegal he rhya ge. To agr hum signature campaigns sa he earnings krta rhya to hman Bitcoin buy krna ka lea kisi credit/debit card ka zarorat nhi ho ge aur koe illegal kaam sa bhe bach jyn ga. Ya best tariqa hy agr ap DCA ka zarya Bitcoin ko jama krna chah rhya hn. Baat to ThemePen bhai na boht patya ke ke hy. Pr aj kal ThemePen bhai nazar nhi a rhya. Kya merit source bnanya pr unka attitude high to nhi ho gya. hahahaha
Exactly, agar app k pass koi aur source of income hy tu app apni signature campaigns earnings ko spend na kerian bilkay save ker lein but aik aur ais mein add kerta challoon k abhi bitcoin bull run chal raha hay aur most probably in Q4 this year hum bitcoin ka cycle top dekh lein. Tu ais sorat mein app log apny bitcoin USDT mein convert kr lena aur bear market 2026 mein jab bitcoin apna bottom bunayee tp dobabara bitcoin buy kr lena. Ais saray process mein P2P aur local banks involve ni hon gay aur app log safe rahein gay. Bagi jis ny spend keni hy crypto aus k liey aik option Redotpay card hy.
Aur rahi themepen bhai ki tu aun mein koi attituide ni aya, infact he is trying to bring back other merit sources on the forum too

Are are are ye mery bad kaya baten ho rahi hen. Wesy Musa bhai my active hi hun bss ap ki post thora miss ho gai. Nai to reply dy deta. Meri almost one day chor ky next day posts mojud hoti hai pak thread my.
Well attitude kesa bhai jaan my ny to esa kuch bhi nai kiya or agar ap ko lagta hai ky esa kuch hai to bohat bohat mazrat bhai. Meri esi koi intention nai thi.
Or rahi bat jo bat ho rahi hai. Ye to mujy khud bhi nai yaad ky my ny ki hai ky nai I think ki hogi kiu ky mera vision to yehi hai wesy. Or Umer bhai reminder karwany kaa shukriya mera to dhyan bhi nai tha iss post ki taraf. Agar waqy hi kissi ko lagta hai ky muj attitude aaya hai biii mazrat sab ko par mera esa koi irada nai or naa kabhi socha hai.
