Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 5 from 2 users
Re: Pakistan
by
ITExpert
on 12/07/2025, 19:00:19 UTC
⭐ Merited by Xal0lex (3) ,Alone055 (2)
Alert ⚠️ Hacker Attack by Fake PDF App Hits 90,000 Android Users

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary brothers

Cybersecurity experts ne aik naye malware ka pata lagaya hai jiska naam Anatsa hn. Ye malware aik fake PDF update app ke zariye logon ke mobile mein ghusa diya gaya jo Google Play Store par available thi. Ye malware khas tor par North America yani America aur Canada ke logon ko target kar raha tha. Jab user apni banking app open karta tha, to ye malware aik jhooti maintenance wali screen dikhata tha, jisse asal mein unka password aur login details chura li jati thi. Ye pehli baar nai balke teesri dafa hai jab Anatsa ne is tarah ka attack kiya hn.



Ye virus is tarah phailta hai ke pehle aik balkul theek kaam karne wali app Play Store par upload ki jati hai jise log normal samajh kar install kar lete hn Jab app ke downloads hazaron tak pohanch jate hn to phir aik update ke zariye usmein malware chhupa diya jata hn. Is update ke baad malware secretly install ho jata hai aur banking apps ka data chura leta hn. Iss martaba jo app use hui uska naam tha Document Viewer - File Reader aur ye developer Hybrid Cars Simulator, Drift & Racing ke naam se upload hui thi. Ye app Play Store ke Top 4 free tool mein baahi aayi thi lekin ab Google ne ise delete kar diya hai.

Stay Safe Tips:
Ye malware itna chalak hai ke jab user banking app open karta hai to wo fake message show karta hai jisse users ko lagta hai bank mein maintenance ho rahi hn. Is tarah user bank se contact nahi kar pata aur hackers easily fraud kar lete hain. Google Play Protect system in apps ko rokne ki koshish karta hn lekin logon ko bhi chahiye ke wo alert rahein aur unknown apps install na karein. Financial institutions ko bhi ye advice di gayi hai ke wo apne system ko secure banayein aur customers ko informed rakhain info