السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ ٱللَّهِ وَبَرَكاتُهُ
Jaisa ka ap sub ko pata hy ka mulk ma is waqt shadeed barishon ke wajha sa selab aya hua hy jis na Punajb ko khas kr buri trh mutasir kea hua hy. Umeed hy ka ap sb khariat sa hn gy. Ab NDMA na nai warning jari ke hy jis ka mutabiq 20 Jul 2025 sa mulk ma eik bar phr barishon ka silsla shuro hona wala hy. Mulk ka tmam brya dams pehla sa he bhe gya hn aur mazeed pani store krna ka qabil nhi.
Hum seelab ko rok to nhi saqta pr kuch hefazti iqdamat kr ky seelab ky khatrat ko kam zaroor kr saqta hn. Eik boht ahm cheez jo hum log kr saqta hn wo ya hy ka in dino ma deryaon aur nadi nalon sa door rehyn. Dua hy Allah sa ky wo is mulk aur is ma rehna valon pr apna karm farmya.

Wa alaikum Salam, Chalo Kahi toh in hukoomat ko hossh Aya aur baidar hooky awam ky Liya fikr mand hogai. Agr yeh cheezy pahly Sy hote toh bohout sare qeemte jaany Bach jate aur lag ba hifazat mahfooz jagga pa pahly Sy shift hojaty but nahi
Baki Yar hum lagy ha India Sy iss cheez pa ky unho ny hamara paani rook diya toh Kya Hoga ab hum Sy Apna paani control nahi ho Raha aur waha pa alag lagy howy ha agr government hoosh ky nakhun laity aur waqt pa bohout dams bana laity aur khoob Sara paani store karty aur Baki store karny ki salahiyat bhi paida karty toh AJ yeh flood nahi aata
Hum yeh saara pani save kar laity plus hamay India ky us damki ka bhi farq nahi parta Kyu ky hamary paas already bohout stored Pani hota but nahi inko pahly apny jaib barny ha phir COAS ky Liya jazeery, aur paisy sab phir jaaky awam aur mulk ky Liya soochna ha. As agr Kuch hojai toh London sfiht hojaty bugatna toh awam ko ha.