Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 25/07/2025, 22:36:23 UTC
Asia Cup Khatray mein hay

Faheem Ashraf ne bohat achi perofmrance di thi abhi Bangadesh ki series mia toh uss k most chances hain k woh Asia Cup mai b select hoga jis ka host India hai lakin iss time phela martaba Pakistan ne b awaz buland ki hai toh India se hata kr Dubai mai shift hogya hai but still aisa toh lag rha hai k Asia Cup maybe na ho kyun Afghanistan, Bangaldesh, Sri Lanka inn jesi choti teams ki wja se toh Asia Cup ni chal rha han beshak sub ne ek ek time Pakistan ko haraya hua hai lakin phir b Aisa Cup is only based on Pakistan vs India.

ab mai ne jesa k start main kha hai k Faheem Ashrf jo select hoae ga squad k lia toh uss ne war k time boaht zada instagram pr stories lagayein thein or India ko boaht discourage kia tha ab jesa k Shaid Afridi ne b kia tha troh Inidan teanm Legends League mai Pakistan k sath ni thi kheli toh ab dekhna yeh hai k iss time kia hota hai abhi tak toh meeting hui thi inn ki at Dhaka lakin itna kuch samne ni aya k hoga ya ni lakin boaht se journalist keh rhe hain k 100 and 10 percent k nii hoga.

Bhai na hi ho toh ziada acha hai.. Hamari team ne konsa koi itna acha perform karna hai k hum umeed laga k bethen? Maazi men itni bar umeed lagai hai, lekin mila kiya? Sirf aur sirf disappointment, har bar, har bade platform pe, qk hamare players sirf domestic leagues men perform kar skte hain kisi bade tournament ya series men nahin, aur yeh boht afsos ki baat hai k aek waqt men dunya ki behtreen team aaj kal aese teams se haarne lagi hai jinko harana cricketing world men har badi team k liye aam si baat hai.

Sach bataon toh main itna disheart ho chuka hon is team se k cricket dekhne ka dil hi nai krta, halanke mere liye cricket se doori rakhna naqabil e yaqeen baat hua krti thi qk bachpan se khelta tha aur dekhta bhi tha, lekin jab international cricket ki baat ati hai, aur apne team ka hal nazar ata hai aur maazi k experiences yaad ate hain toh dil nai krta k cricket dekhon ab.