Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
WatChe
on 27/07/2025, 11:16:39 UTC
Ye waqhi bht afsoo nak Khabar hai  pehle wo Balochistan ka waqiya ab ye Khabar Kya ho Raha h humare mulk mein intazamiya ko koi Khabar nahi h or koi action hi nahi liya ja Raha Barish k bad har dafa Pani ka jama hona galiyan darya ban jana aam bat ban chuki h jis ki wajha hamien he  mushkil ka samna Karna parh Raha h ham apno ko kese Pani mein behta huwa dekh sakhta h bhot dukh howa bhai jab ye bat sonoy ko mili us bachery baap beti k liye duwa he kar sakty hain k Allah un k gar walo ko sabr ata farmaye.

Barish ke waja sy lahore me b aik chotti bachi 8 yan 9 saal gattar me dob kar mar gi, lahore k galiyon mahalon me jab barish thora zor dekhti hai to asa lagta hai galiyan nadi ka rup lay chukien hain pani ka rasta banany k leye galiyon k gattar khuly gien jis ke waja sy bachi gatter me gir kar dob gi ye zayad tar sharon me pani ke nakasi ka masal pech ata hai kuin k wahan amdoraf zayad aur rasty chotty hoty hai par ye khatm nhi howa aur mwry khayal sy na hoga.

DHA 5  Rawalpindi ma jo larkee aur unka valid car semat seelab ma bah gya thy un ma larkee ke dead body abhi tk nhi milli jabka unka valid ke dead body mil gai hy aur unki tadfeen kr de gai hy. Larki ke body recover krna ka lea rescue operation jari hy pr aya roz pani ka bahyo boht taz ho jata hy jiski wajha sa body nhi mil rhi. Dua hy Allah Pak is family ko sabr-e-jameel atta farmya.

Swat ma bhe kuch pehla 2 ghanta tk log pani ma phansya rhya pr koe rescue ka lea helicopter nhi aya. Hman khud he hosh mandi sa kaam lena ho ga kyunka yahan rescue ka lea kisi na nhi ana lehaza koshish krni chahya ka monsoon ka season ma pani sa jitna dor reh saqta hn rhyn.