Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 1 from 1 user
Re: Pakistan
by
Alone055
on 29/07/2025, 18:39:16 UTC
⭐ Merited by ThemePen (1)
Pakistani PUBG Qualifies for the Esports World Cup 2025 Finals

Pakistan cricket k World Cup pr toh kuch ni kr skha lakin iss time Pakistan ne E sports k World Cup k uder Finale mai qualfy krlia hai, kuch saalon phela Pakistan ki khoi team b ni thi E sports ki lakin ab inhoin ne Grand Finale mai direct entry mari hai.

E sports ek online sports ka olumpics keh skhte hain yeh Saudia Arabia mai ho rha hai or 35 teams ne hisa lia hai 'Pubg' k mai or Pakistan ne Pubg k point table mai iss waqt numebr one position sequre kr k grand finale mai qualify kr lia hai even k iss World Cup mai 35 teams ne hisa lia tha uss mai se ek India b thi or Pakistan ne India ko b hira dia hai iss time toh Pubg mai ek squad htoi hai or per squad mai 4 bnde hote hain so Pakistan k four players Saudia Arabia mai hain or wahan pr Pubg k matches jeet rhe hain.

Jo Pakistan ka so far top player ja rha hai uss ka naam hai Falak or uss ne boah bare bare cluth mare hain ab jin logon ne khabi PUBG ni khei unn ko smj ni aye ga lakin Pubg mai ek scool hota hai or School k ass pass appartements htoe hain toh ek match mai Pakistan ki all team players yhani squad k sare players mar gye tha sirf or sirf Falak reh gya tha uss ne akela appartement k upper se camp kr k har ek ko mara or match jeet lia.

Wow, yeh boht badi baat hai... Kaafi log is cheez ko samajhte nahin hain aur unko knowledge bhi nahin hai qk hamare yahan toh jab game ki baat ati hai toh log kehne lgte hain k time waste hai isse kuch nai hota sirf waqt zaya hota hai wagera wagera, lekin un logon ko yeh nai pata k eSports aek boht badi market hai aaj ki dunya men, aur log is market se boht sare paise kama rhe hain, apne careers bana rhe hain.. Aap agar India men dekho toh wahan boht sare eSports organizations hain jo players ko hire krte hain unhen support krte hain phr unko international level pe tournaments aur competitions men khilate hain jisse organization ka bhi naam banta hai aur country bhi represent hoti hai, lekin hamare yahan toh officials ko corruption se hi fursat nai milti toh khaak kuch hoga.

Talent ki kami kahin pe bhi nai hoti, lekin bas opportunities ki kami hoti hai jiski waja se talented log aage nai barh pate, yahi scene Pakistan men bhi hai k yahan aapko har field men boht talented log milenge lekin unko koi platform provide krne wala nai hai, koi organization nai hai jo unko aage le k jaye aur unhen apna talent prove krne ka moqa de.

Baqi yeh boht badi achievement hai meri nazar men, umeed hai k wo jeet jain, aur agar jeet na paye toh kam se kam top 3 men ajain toh phr bhi badi baat hai qk yeh local competition nai hai, international competition hai. Smiley