Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 31/07/2025, 23:31:04 UTC
Ab iss ka inam ki baat krein toh woh kuch kam ni hai trophy toh milni hi mini hai lakin sath k sath 50 lac ni 50 crores milein gein jitne pr or inn ka final 1 se 3 august tak khela jae ga abhi bhaki teams mai survival mode khele jane hain unn mai se winner Pakistan se khela ga Pakistan ki point table yhani group stages mai ummda performance k baad direct final mai qualify kr lia hai jub bhaki bari bari teams abhi ek trah se kehlein Semi final khelein gein.

Survial Mode surviva mode pubg k under hota hai k ek puri dunya hai uss mai har trah ki jagah hai jesa School, George Park yhani k jidhr containefs ate hain wahan pr boats or ship b hotien hain. Or jo sab se khatarnak jagah mani ha Pubg mai uss jagah ka naam hai Pochinki jo School k pass hoti hai or woh iss lia danger zone hota hai kyun k wahan pr camp krne ki boaht si jagah hain toh wahan pr loot b achi hoti hai har game mai random loot hoti hai lakin Pochinki mai ghar bohat zada hain jis ki wja se loot easy hojati hai thori si. Kahir teams abhi Survial mode khelein gein jin ki performance achi thi group stages mai or phir Pakistan k sath final hoga unn ka.

G Bro main janta hon, eSports tournaments aur competitions ki price aksar kafi ziada hoti hai khas kar tab jab competition national nai balke international level ki ho. Jaise maine pehle kaha, baqi countries toh boht arse se apne gamers ko support kr rahe hain aur unko is cheez men aage le k jaa rhe hain, even India k andar kahi tournaments hote hain sirf Pubg k, aur India men toh Pubg ka apna setup hai sab kuch hai, lekin Pakistan is cheez men abi boht peeche hain lekin iske bawajood bhi hamare talent ko dunya dekhti hai, aap Arsalan Ash ki hi misaal le len, bande ne puri dunya men naam kamaya hai Tekken game men competitive khel k aur jeet k.

Baqi PUBG Mobile k bare men toh main sab kuch janta hon, aapke bhai ne season 2 se le kr season 12 ya 13 tak kheli hai game.  Grin Yeh baat aapne sahi kahi k Pochinki ziada tar hotdrop area hai qk wahan loot ziada hai aur qk wahan pe ghar bhi ziada bane hue hain toh cover bhi ziada hai, isliye wahan log ziada drop krte hain aur maza bhi ata hai hotdrop ka, lekin agar competitive level pe bat kren toh har team ki yahi koshish hoti hai k starting men unki kisi se fight na ho taa k wo loot kr k aram se fight le saken. Smiley