Abhi toh Pakistan or West Indies k one day games ho rhien hain. uss series k tour pr hi Pakistan k coach ne players k darmeyan ek compition kr waya tha k apne 2 balls yorker marni hai or 2 wide yorkers sorry 2 ni 3 iss pr team bani thi phir ek team thi Naseem Shah and Hasan Ali ki or dusri thi Shaheen Afridi or Faheem Ashraf ki.
ab iss ka inam tha k jo banda 6 k 6 marde ga toh uss ko 200 dolalrs de ga coach lakin ab kamal ki baat yeh hai k na Shaheen se na Faheem se or na hi Hasan Ali or Naseem Shah se kisi se b yorker ni laga

, Uss k baad jo wide yorker ki bari ai toh woh toh lag gye bari mushkil se Faheem se or Shaheen se bhaki kisis se b ni yeh hai Pakistani team yoerk b ni lag rha ab jub match hoga jo uss mai death overs mai sub se zada zaruri yehi yoekrs wlai balls hotein hain kyun k issko play krna thora sa hard hota hai and judge krna b, lakin kisi se yoker hi ni lag rhe. Yeh ap PCB k channel pr ja kr dekh skhte hian..
Bhai sorry to say lekin Pakistan ki team ab wo team nahin rahi jo kabhi hua karti thi, wo Pakistani team jisko bowlers k naam pe jana aur maana jata tha puri dunya men, jab fast bowlers ki baat aati thi toh Pakistan ka naam sabse pehle aata tha, lekin ab haal dekho k kisi bhi fast bowler se aap kisi bht ache spell ki umeed nahin kar sakte... Aapka premium fast bowler Shaheen Afridi dosre T20 men last over k last ball pe 3 run defend na kr saka aur boundary kha li... Toh aap khud socho, k jo aapke team ka best bowler samjha jata tha ya jata hai, agar uska yeh haal hai toh dosron ka kia hoga?
Batting ki agar baat karen toh usmen phir bhi hum thore behter reh gaye hain kuch youngsters hain khas kr unki waja se, jaise k Saim Ayub hogya ya phr Hassan Nawaz hai jisne abi first WI vs PAK k ODI men debut kiya hai, kafi acha aur aggressive khelta hai, ab yeh management aur captain k upar hain k in players ko woh kis tarha use karte hain aur inko kis tarha groom krte hain ta k yeh bade stages pe ache se perform kar saken jaise k World Cup hogye ya Champions Trophy, ya Asia Cup, etc.