Benner Cycle السلام عليكم umeed he ap kheriyat se honge. Mene abhi ek hairankun cheez dekhi jis ne mere hosh ura diye kyunke ke ek boht hadtak accurate prediction he. me baat kar raha hun benner cycle ki jis ka name ap ne shayd suna hoga. Ye ek chart he jo 2059 tak ke markets ko preict karta he. Ye cycle America ke state OHIO ke rehne wale farmer Sameul Bennner n banaya he. us ne year 1780 se lekar 1872 tak ke market movement ko analyse kar ke 1873 se 2059 tak ke market ko predict kiya he. is chart ko us ne 3 phases par divide kiya.
- Panic years
- Good times
- Years of Hard Times
Benner ne estimate kiya k Panic years 16 18 20 saal badd atey h market cycle mein jis ke baad 7 saal tak market good times me rehta he or phir 11 saal tak hard times a jate hn. ap ye chart
YAHA par khud dekh sakte hn. us ne us chart ke end me likha 'SURE THING' jese k us ko poora yaqeen ho apne oper. or wo more than 140 years later bhi close to perfect he. Shayd us ko matrix ka koi secret mil gya ho jis se wo itna overconfident tha. Baqi ap ki kya raye he is k baare mn zaroor share kijiye ga. shukriya