El Salvador announce to Launch World First Bitcoin Bank
Wesy kabhi kabhi herangi bhi hoti hai. Yani IMF ki mukhalifat ky bawajud El Salvador apny kam kiye jaa rahy hen. Or ye ek barri behtreen development huwi hai. Jo ky El Salvador ny ki hai yani ye ek new era my dakhil kar raha hai Bitcoin ko. Or agar ahista ahista baqi countries bhi involve hoti hen to ye bohat best ho jaye ga.
Baqi Bitcoin ki adoption mazeed barhti hi jaa rahi hai. Or Bitcoin ny pichly 15 saalon my apna sikka manwaya hai. US kaya yani bohat si countries ny iss par charcha ki hai. Even hmara Pakistan bhi uss list my shamil hai.
السلام عليكم umeed he ap sab khairiyat se honge. Ji bilkul themepen Sir Pakistan or Kafi or mulkon me Bitcoin ahesta ahesta adopt ho rha he or ye door Nahi k Hum Bitcoin ko aam zindagion me istemal hota dekhenge. Lekin Pakistan Agar Bitcoin me or zada invest karey to I think k ye ek bada factor ban sakta he Pakistan k Liye Apne karza Agar khatam Nhi to Kam karney me over the Next 10 years. Agar market Dumps Me Pakistan Apne Bitcoin Ki Holdings ko barhae to Yaqeenan Boht faida mand Hoga q k Bitcoin se expected he k wo 1 million dollars tak pohonche. Is ke ilawa Pakistan ko apni awam k Liye Bitcoin me invest Karne k Liye facilities Lani chahiye taa k Pakistan ka har aam o khas aadmi Bitcoin Se faida hasil kar skey. Jese k wo Bitcoin or Crypto k istemal par Tax Kam krde to Awaam ko Us ko use Karna sab SE faidamand dikhega. Or mulk k Sath Sath Awaam ko bhi faida hasil Hoga.