Cloudburst and Flash Flood in Pakistan
Asslamu Alaikum
Ye sab ho raha global warming ki waja sy or ham jo qudrat ki bnai cheezon main cherr khani karty hain ye sab uss kaa natija hai nahi to aisi cheezen naa suni naa dekhi.
Or hamary Mulk e Pakistan ky suba Khyber Pakhtunkhaw main iss ny bohat tabahi macha rakhi hai. Or dekhny ko mil raha hai ky nadyon my barry barry pathar bhi pani ky sath tair rahy hain.
Or wo jo ham ny dekha ky ek gaon hasta basta iss cloud bursting ki waja sy tabah ho gaya. Allah hmary haal par reham kary. Or ye azab hi hain ham par. Allah ham sab ko in sab cheezon sy mehfuz rakhy.
Ab jahan Sharab ky permit issue kar diye jaaen wahan to phr esy azab ana banta hai. Jahan Masjidon ko ye shoc kar shaheed kar diya jaye ky ye khubsurti main rukawat hai to wahan to aisy azab ana banta hai.
Wa alaikum Salam, yep hum ny mahool Mai bohout bigaar paida kardiya ha trees ki bohout ba-daraigh katai aur huge number of industrial zone and several other pollution, ki wajah Sy aur yahi wajah ha ky shocking climate changes aarhe ha like Peshawar Mai for the first time 43° record Kiya gaya Jo ky pahly nahi ta aur wajah same ha.
Plus yeh government ki nakami bhi ha like apky paas aisa nizam mojood nahi ha Jo predict kar skaty ky aany waly dino Mai cloud bursting ho skate ha jis Sy Baar aaskata ha aur logo ko pahly alert karty toh the 300+ logo ki death na hote aur kitny ba-ghar howy Kitna maali aur Jani nuksan Howa sab hissab Sy bahir ha aur iss death Mai poora poora government responsible ha.
Baki ab Jo Howa so Howa ab several jaggo pa inky Liya fund collect Kiya ja Raha ha ap Sy jitna possible ho paisy ho, kapry ho, food ho, flour ho etc Jo bhi ho as unko sab cheezo ko zaroorat ha Jo ta sab gaya so bar char ky uss Mai hissa ly Kyu ky Kal yeh situation ap pa bhi askate ha