Cloudburst and Flash Flood in Pakistan
Asslamu Alaikum
Walaikum Salam yaa to bohat he afsoosnak waqia ha or Khyber pukhtana khwa kaa bohout elaqa is saa effect howa ha aur lakho croro ka logo ka finical nuksan Howa aur Jani be bohout zyada Howa haa, Sath he sath buner maa toh badal pat gyee tee aur information kaa mutabiq Baki elako maa barish abhi tak musalsal jari ha, iss maa swat , gilgit aur Azad Kashmir shamil ha Jo bohout effect howa. Or still government ke taraf saa koi sahi mano maa madad nahi aye sirf visit keya aur kaha ka saman ponch jya ga aur awam ka mutabiq kuch nahi mila woh apny madad aap ka tehat laga ha logo ko khurak ponchany aur safe jagga faraham karna takay Jan bach skaa. Yeh bohout afsoosnak manazir ha hukoomat ko foree intizam Karna caheyaa. yeh aglaa Saalo maa kis muu saa vote mangna jyangaa un logo ka paas Jin par yeh azab chal Raha ha aur yeh madad ko nahi ponch raha....
Brother many Nahin samajhta is may government ka koi kasur hai kyunki government qudarti afath ko rok Nahin sakti lekin amdadi karwai zaroor karni chahiye jisse awaam ko waqti par relief mil sake aur emergency ke doran unki poori madad ho. KPK government ne elan kiya hai ke jis waddi buneer ka zyada insaan hua hai usko hum ek aise maqam par shift karenge jahan qudrati afaat ka khatra bohot kam ho jaye to yeh ek acha qadam hai aur kassi bo government ke paas itni power nahi hoti ke yeh sab kuch qudrati afaat ko rok sake.
Exactly that is natural disaster. But Bhai Kaya hamen pata nai he ky har Saal hmary Haan Flood aaty hen. Cloudburst ek new thing thi maan lety hen. Kaya Flood har Saal nai Ata? Kaya Kiya Government ny Uss ki rok thaam ky liye. Natural Disaster har Jaga hoty rehty hen lekn wahan rok thaam ki jati he. Like Japan my earthquakes zyada aaty hen to wo apni buildings KO esy design karty hen ky zyada effect naa ho.
Hmary Haan har dafa selaab aaty hen itni tabahi macha Kar jaaty hen ham ny kitny dam bnaen ye ho paani zaya HOTA he ITNA ham ny Uss KO store karny ky liye Kaya Kiya he? Han Government ny koi step liye hoty already to ham maan Sakty thy keh Sakty thy ky hukumat ny puri koshish ki BSS ye Allah ki taraf sy tha. But filhaal hukumat ki hi galti he.