Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
AgriTrack
on 21/08/2025, 07:07:25 UTC
China is moving to legalize yuan-backed stablecoins after a 12-year ban on crypto Reference



Hi frds! السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Kesie ha frds China ab apni policy mein bara chnage la rahi ha jahan woh yuan-backed stablecoins ko legal karne par ghoor kar rahi ha jabke pehle crypto par sakht ban laga tha. Is qadam ka maqsad hai ke yuan ko duniya bhar mein zyada istemal karwaya jaye aur U.S. dollar ki dominance ko kam kiya jaye. Agar manzoor ho gaya to Hong Kong aur Shanghai sabse pehle is nizam ko shuru karenge jisme People’s Bank of China bhi hissa le gi.
Ye qadam us waqt uthaya ja raha hai jab stablecoins duniya bhar mein bohot mashhoor ho rahe hain khaas taur par dollar-pegged coins jo speedly, sasti aur aasaan transactions ke liye jane jate hain. Abhi 99% se zyada stablecoin market sirf U.S. dollar se bandha hua ha jabke yuan ka hissa sirf 2.88% reh gaya hai. Yuan stablecoins ko apnane se China ka irada hai ke woh cross-border trade aur digital payments mein apna kirdar barhana hai