Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 23/08/2025, 19:11:17 UTC
Jetne be cities KPK ma enho ne bataye hain ye tu buhat zyada ha es ka matlab ye ha ke pure KPK ma shadeed khtra ha flood ka, ente sre cites ma barish hogi aur etna sara pani ekatta hoga tu wo yaqenan flood ki shakal he ekhteyar karega. Abi KPK un tabahkaryun se nahe farigh logo abi be panse huwe hain unko crans ke zarye nekala ja raha uper se agr pir se ye ageya tunes dafa buhat zyada tabhai hogi.

Apne ek alert de ha tourists ko tu os hawale se ma kehna chahta hun ke ek famous tourism's explorer ha zunair comboh sabi jante ho genunhe wo kehte ha ke ma saara saal ghomta hun mukhtalif elaqo ma per jab ye mosam ata ha augusta tu es ma ma lahour ke kesi safe jagha per khud ko band kar daita hun q ke es mosam kesi jagha per jana aysa ha jaise khud moot ko buhlana , tu ap sub log be ehteyat kare plz aur apna aur baqi logo ka khyal rake.

Is saal to monsoon ke barishon na tabahi macha de hy. Sach pochan to ab kalaa badlon ko dekh kr dar sa lagta hy ka ab ya barsa to phr kaheen seelab na a jya. Pori pori raat barish hoti hy. Buner district ma to jo tabahi machi hy flash flood sa us sa to hr ankh ashk bar hy. Is sa pehla hum na swat river ma zinda beh jana wala logo ko bhe dekha jo bar waqt rescue na milna ka wajha sa hum sa juda ho gya. Ya kudrati afat zaroor hn pr ya hmari mis management ka bhe mou bolta saboot hn. Agr hum kuch arrangements kr lyn to is moasom ke tabah kareyon sa bacha ja saqta hy.