Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
JunaidAzizi
on 24/08/2025, 18:30:30 UTC
Daiky jis cheez pa ducky ko arrest keya woh ak binomo name ka option trading app ta, jis saa ducky ko bohout paisa mila aur yeh kafi time saa chal raha ha but issue tab aye jab koi minister ka bata na ducky ko follow karta howa us app maa gaya aur bohout paisa haar gaya q ka asaa app maa sirf influencer paisa win karta ha Baki sab harta ha aur unko hire bhi isleya keya hota ha ka apka fans ko loota jyaa Jis maa apka bhi commission hoagya aur hamara profit bhi. So jab yeh Howa tab ducky ka khilaf action leya gaya.......
Apki bat tek ha ke ap fraudulent cheex ka hessa bane aur apne os ko promote keia os se ache paise kamaye aur ab osko chahye ke os khumyaza bukatna phare aur ma be aysa he sochta hun , per bat ye ha ke pakisatn ma serf ducky bhi aysa kar raha ta ya baqi be ha , baqol waqar zaka ke ye list ma ne provide ki ha waghira waghira tu matlab ke aur be kaye naam ha es ma. Ab bat ye ke FIA ke pass full authority ha ke wo kesi be application ya website ko ban jar sake jaise ke unho ne X ko keia huwa ha tu ab aysi kia cheez ha ke unho ne abi tak os ko ban nahe keia. Hona tu ye chahye ta ke pehle os ko ban karwate os ke bad sub ko warning daite , per enho ne ulta keia pehla garaftar keia aur abi tak ban be nahe karwi app ko.

Muje mamla Kuch aur lag raha ha , ap es ke vlogs daiko har jagha ye 804 , 804 kartaa rehta ta matoab ke IK ka supporter ta aur eske apne subscription ketni zyada ha tu bas un ko es ki ye adat buri lagi huwi hogi aur bande ko umho ne pakar leha q ke os ke khelaf aur kuch kar nahe sakte tu ye bahana bana deia.