Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
ZAINmalik75
on 24/08/2025, 21:19:57 UTC

Debating New Provinces proposed by COAS Pakistan
Well guys scene Kuch aisa ha ky Kuch dino Sy Pakistan Mai ik news bohout pail Rahe ha regarding new provinces Jo ky abhi just sooch ha isko amli jama pehnany ky Liya constitution amendments paish ki jai ge aur country Mai 4 province ko divide karky totally 12 provinces banany ki tajweez de gaye ha. Jiska main maqsad governance ky nizam ko behtr banany ky Liya aur awam ko mehroomi ko door karny ky Liya paish Kiya gaya ha Jo ky ik vital sooch ha aur bohout pahly hoona chahiya ta.

Kuch demand kar rahy ha ky 30+ provinces bana de jai but abhi 12 par hi zyada log mutafiq ha. Agr daikha jai toh America Jo 13 states country ta woh 50 bana diya gaya Sath Sath India Jo start Mai 9 provinces ta woh 28 karde gaye. So hukoomat aur awam ko qareeb karny ky Liya yeh bahtreen step ha, no doubt har step ky pros aur consequences ha, like faida toh bata diya but nuksaan yeh ha ky karcha bar jai ga like province ka ik CM hoga governor hoga usky Sath intizamia Hoge plus bohout saare Jo abhi neglect ha km soobo ki wajah Sy

So abhi scene Kuch istrah hoga ky Punjab 4 province Mai divide hoga aur Balochistan bhi 4 soobo Mai plus Khyber pukhtana khwa ko two Mai aur Sindh ko bhi two Mai divide karny ka mansooba ha. Mai toh believe karta hu zyada sooby no doubt karcha zyada hoga but door daraz elaky from capital of province Sy unka Liya asaniya paida Hoge aur bohout new elagy develop hojyngy due to become capatial of that new province. So ap logo ki Kya rai ha is par ky Kya haamy Issy adopt karna chahiya ya neglect.