
@Themepen @Alone055 Mai ap logo ki baato Sy agree karta hu yeh Mai ny already explained Kiya ha ky is ky bohout consequences ha. But agr hum above chart ko daikhy toh hamay mostly inflation rate Mai taize yahi charhawo daikhny ko mil Raha abhi thoora bohout down agaya as investment agaye aur several loan mil gai IMF Sy. So kehny ka matlab ha
mehengai ka taluq is decision sy ha but nahi ha Kyu ky woh toh baghair aisy decision ky bar Rahe ha. Aur inflation is directly proportional to mehengai 😉
Ab agr Kuch log inflation ko nahi janty toh asaan alfaaz Mai jab paisy ki qadar daily life ky goods ki price ky muqably km hogai toh yeh mehengai ka sabab bante ha, aur paisy ki qadar Yani value Mai kami ki wajohaat zyada supply (high number of money printing) aur km demand hote ha.
Ab jaisa ap sab ny kaha ab tak corrupt government or establishment Jo bhi decision ly Rahe ha woh sirf 100% zaate faidy ky Liya hote ha awam ka koi khayal nahi rakha jata ha ha. Ab agr is decision Mai 80% establishment ka faida aur Atleast 20% hamara faida ho Raha ha toh isliya appreciate kar Raha hu, Yani Jo side ky elaqy ha jaha pa koi development nahi ho Rahe unko ignore Kiya gaya ab agr Banda select Hoge governor ya CM toh inky elaqy ka hoga toh thoore mehroomi toh km hojai ge.
Toh conclusion yeh ha ky full 100% loss Jo continueosly chal Raha ha har decision Mai ab agr opportunity ha ik decision Mai isko 80% karny ki toh Kyu na grab Kiya jai, Kyu ky agr ap smajty ha aisy decision ky baghair yeh corruption nahi kar paingy ya paisa steal nahi kar paingy toh woh toh already kar rahy ha aur achy tareeky Sy kar rahy ha aur har year advance hoty ja rahy ha. Hope ap maire Baat ko samj pa Gai hongy
