🇵🇰 Pakistan moved to lift the State Bank’s 2018 Crypto Ban ReferenceHi frds! السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Pakistan ne crypto aur blockchain ko adopt karne ke liye aik big move aur Pakistan Virtual Assets Regulatory Authority (PVARA) ka pehla board meeting Islamabad ma hua.
Is meeting mein decide kiya gaya ke complaint portal banaya jaye ga cybercrime agency NCCIA ke sath mil kar jahan log apni concerns share kar saken. Sath hi 2018 ka State Bank ka ban jo banks aur financial institutions ko crypto se deal karne se rokta tha usay khatam karne per bhi socha gaya.
PVARA ka maqsad hai ke financial system ko safe rakha jaye aur sath hi naye investments aur opportunities laye jayein taa ke Pakistan ki digital economy per trust barhe.
Meeting mein yeh bhi discuss hua ke aik regulatory framework banaya jaye jo international standards kae mutabiq ho. Is ke liye alag alag committees banai ja rahi hain jo licensing, tax per kaam karengi. Har do mah meetings hongi taa ke stakeholders se feedback liya ja sake.
Finance Minister aur Chairman Bilal bin Saqib ne kaha ke government poori support karegi aur PVARA Pakistan ko digital assets mein leader banane mein important role play karegi
Woa, ye bhot ashi development ho gi kuin k 2018 se State Bank ne crypto par ban lagaya tha aur jisko ab lift karne ki baat kar rahi hai ye ashi bat hai par asal masla ye hai k Pakistan me abhi b bohot se log haram samajhty hain. Mery khayal sy is soch ki wajah se b crypto ka adoption Pakistan me tab tak possible ny hoga jab tak government aur ulema dono mil kar is par wazeh stance nahi lety aur logon ko samjhaya nahi jata k iska Islamic aur economic angle kya hai. Baqi chermain bilal ko salyot k wo crypto community k leye bhot effort kar rahien hai par Jab tak ye confusion door nahi hoti crypto ka future Pakistan me slow hi rahe ga.