Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Faisal2202
on 26/08/2025, 19:07:50 UTC
Hi frds! السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Pakistan ne crypto aur blockchain ko adopt karne ke liye aik big move aur Pakistan Virtual Assets Regulatory Authority (PVARA) ka pehla board meeting Islamabad ma hua.
 Is meeting mein decide kiya gaya ke complaint portal banaya jaye ga cybercrime agency NCCIA ke sath mil kar jahan log apni concerns share kar saken. Sath hi 2018 ka State Bank ka ban jo banks aur financial institutions ko crypto se deal karne se rokta tha usay khatam karne per bhi socha gaya.
PVARA ka maqsad hai ke financial system ko safe rakha jaye aur sath hi naye investments aur opportunities laye jayein taa ke Pakistan ki digital economy per trust barhe.
Meeting mein yeh bhi discuss hua ke aik regulatory framework banaya jaye jo international standards kae mutabiq ho. Is ke liye alag alag committees banai ja rahi hain jo licensing, tax per kaam karengi. Har do mah meetings hongi taa ke stakeholders se feedback liya ja sake.
Finance Minister aur Chairman Bilal bin Saqib ne kaha ke government poori support karegi aur PVARA Pakistan ko digital assets mein leader banane mein important role play karegi

Wa alaikum asalam brother kya hal hai, mai yehi news cover krny idr aya tha masha Allah ap ny already kr rkhi yeh pakistan ky liya bohat kushi ki baat hai ky pak my ab banks ny bi yeh ban utha diya hai or proper framework bi tyar ho rha hai jaha pr hamain portal bi diya jai ga or is portal ka sb sy badha faida p2p walo ko hai or sb sy badha nuqsan scammers ko hai jo p2p trades krty waqt 2 nbmriya krty thy, yeh waqai bohat bdhi news hai ky 2018 ka bank ki trf sy lgaya howa ban utha liya gya hai or NCCIA ka kafi dino sy naam sunny my a rha hai or mujhy to is ka idea bi nhi tha ky cheez hai yeh lekin ab dekhny my a rha hai.

Jaha pr yeh 1 bohat achi news hai dusri trf yeh buri news bi hai haha as taxation framework pr bi kaam kiya ja rha hai or yeh bohat buri ho skti hai agr india jasy tax lga gya apny pr to, like india my shaed 30% tax hai or dua kro idr itna tax na lagy, mery khiyal sy tax shurh my to km hi rkhain gy lekin pak my bohat investor hain bohat crypot ka paisa hai to logo sy 1 baar paisa nikalny ky liya yeh log kuch to krain gy, to mera khiyal hai dua krni chahiya ky Allah pak in ko hidayat dy or tax pr hath hola rkhay ameen.

Haha jokes aside lekin seriously, baki bohat kushi howi yeh news sun kr or phly kafi confusion bi thi is pr like PCC bi bn gya, or regulatory frame work to phly bi bn hi rha tha lekin still yeh bank ky ban wali news ki smj nhi a rhi thi ab wo bi clear kr di hai inho ny to yeh acha ho gya hai to ab rh gy wo IMF ny jo full stop lgaya tha mining pr mery khiyal sy uski bi progress any hi wali hogi fr kuch dino tk.