Punjab Government Introduces New Waste Tax Under Clean Punjab Campaign
Walaikumuslam...!
Sab sy pehly to ye bohat Buri bat hai ap hmari payari CM ky khilaf bat kar rahy hen. Ary bii wo jitna marzi tax lgaye uss ki khubsurti ky mutabiq ye ussy zaib deta hai biii. Hahaha
Kher topic ki taraf aaty hen. Bat ye hai ky taxes bilkul lagny chahye par un taxes ky sath phr jiss maqsad ky liye ye liye jaa rahy hen wo bhi pura karna chahye. Bss wo maqsad pura hota rahy to tax lgana koi buri bat nai hai. Lekn sath my income bhi bandy ki dekhi jaye ky kitni hai. Amdani ky lihaz sy taxes kaa tayyun hona chahye jo yahan to bilkul bhi nai hota hai.
Albatta sawal ye paida hota he k ye sirf punjab me kyun? baaqi suubon mein bhi aisa nizam hona chahiye taake poore mulk me yaksaa taraqi ho.
Iss par my thori si roshni dalta chalun. Ap sab janty hon gy last time 12 provinces par bat ho rahi thi. Or my ny iss nuqsan par bat ki thi. Iss waqt punjab alag hai. KPK alag hai. Balochistan alag or Sindh alag hai.
Yani taxes filhaal Punjab pay kar raha hai sab sy zyada. Ab KPK par hod kissi or party kaa hai. To jo yahan laagun hoga wo wahan nai hoga. Or jab 12 provinces hon gy to samaj len ky 12 hissy ho gaye Pakistan ky. Jo ek province par laagun hoga dusry my nai hoga. Ye ek bohat barra drawback hoga uss division kaa.
So taxes hmari khubsurat CM ny lgaye hen to wo sirf Punjab par hi laagun hon gy. 😉