Floods in Pakistan
Pakistan ka is waqt sub sa bra issue seelab hy. Is waqt mulk ka sarya brya derya pani sa bhr gya hn aur lakhon cusec pani Ravi, Chenab aur Sutlej ma a gya hy. Lahore ma Ravi na zayda tabahi is wajha sa bhe machya hy kyunka Ravi darya ka bed ma mukhtlif housing societies bun chuki hn. Kal raat Lahore ke eik mashoor society "Lahore Park View" ma pani dakhil ho gya, jis sa logo ka croron ka nuqsan ho gya hy. Abhi Sialkot, Narawol, Gujranwala, Mandi Bahuddin aur Punjab ka taqrabin hr district seelab sa mutaris hy.
Seelab ana ke eik bari wajha mulk ma pani ko manage na krna ka intazamat hn. Dams kam hn aur kafi purana ho gya hn aur safai na hona ke wajha sa un ke capacity kafi kam reh gai hy. India agr pani rok ly to bhe abi jarheyat aur agr choor dy to bhe abi jarhet. Yeah hy 75 saal ka kahani is mulk ke.
G sahi kaha is waqat Pakistan silab k masaly me gira hai par is sy b bara issue bala keye hai k management ka, Foold to har country me aty hai agar mulk mein silab aye aur hukoomat ke paas achhi planning rescue system aur storage facilities na hon phir tabhi k sath sath bala keye hota hai , asal tabhi jo silab k bad ati hai jise bimariyan bhook bimariyan sy bajien k to bhook mar diti hai agar bhook metayien ton bimariyan mar detien hain phir be-ghar log paani ki kami aur awaam ka bhrosa toot jana sab se bara masla ye bana ta hai.
Thik hai, yeh lijiye 15 lines ka ek hi paragraph me thoda aggressive style ka jawab:
Me to salibi tabah ki sab se bari wajah yehi manta hon k har aane wali hukoomat ne pani ke maslay ko kabhi sanjeeda liya hi nahi. Har baar barsaat ati hai silab atien ati aur hukoomat press conference karke zimmedari doosron par daal deti hai. Hakikat ye hai ke un ki na ahli be hussi aur corruption ne awaam ko silab ke hawale kar diya hai aur shabashrif chine jarien hai madad mangnie imdad leynie aur wo imdad sy 20 present awam par lagi jaue gi wo b apnie faide k leye wo bajat b a ja kar road banie me he lagie ga.
Kuin k kon sa pheli bar ho raha hai Jo paisay awaam ki behtri par lagne chahiye the wo siyasatdan apni jebon me daal kar bahar bhej dete hain. Har saal silab ata hai ghar tabah hotay hain log be ghar ho jate hain, lekin hukoomat ke liye ye sirf to sirf aik number game hai. Aaj dami nizaam asha hota jata to tabahi na hoti. Magar jin logon ka kaam hi sirf kursi bachana ho un se awaam ka dukh samajhnay ki umeed rakhna hi bewaqoofi hai. Jo mulk apne pani ko manage na kar sake wo mulk awaam ko kya insaaf dega.