Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Alone055
on 30/08/2025, 18:29:52 UTC
Youtuber Ducky Bhai ka case ko boht seriously leya jaraha illegal gambling app ko promote karie me dosary youtuber be shamal thy un ko be ab notice keya gaya hai jis me  Iqra Kanwal  Muhammad Hasnain jese dosre be Mudassir Hassan aur  Anas Alike shamil thy in sabi ko youtuber ducky bhai ke tarah adalton me pech keya gaya hai.

YouTuber ducky nhi boht he galit keye hai apnii popularity ka faida utha ty howay logon ke sath fraud keya aur logon ne shikaya taur applications be  ki hai in ke aar mein financial fraud kiye janie ke .

Ab to Adalat he is ka fiasila karie gi aur ab dekha e yehe hai Adalat karwai mein is par lage ilzaam kis had tak sabit hote hain aur agar yeh ilzaam durust sabit hue to yeh case social media ke liye aik bara sabaq hoga.

Chalo dair aye durust aye. Yeh jo inho ne ab kiya hai yeh shoro men karna chaiye tha, inko chaiye tha k yeh sabki pehle aek list banain, including YouTubers, TikTokers, aur dosre influencers, aur sabko aek sath arrest karen alag alag teams bana kar, aur phir sabki aek sath karwai ki jaye qk jitne jitne logon ne is cheez ko promote kiya hai un sabko iski saza milni chaiye chahe wo gambling platforms hon ya phir binary trading jo k aek tarha ki gambling hi hai. Sirf Ducky ko arrest kar k uske upar karwai krna kuch smajh men nahin aa rhi thi bat, toh ab chalo inho ne aur logon ko target karna start kiya hai ab dekhte hain kia hota hai.

Is sab se agar aur kuch nahin hoga toh kam se kam aek faida toh hoga aur wo yeh k aainda koi bhi influencer ya content creator is tarha ki cheezon ko promote karne se pehle 100 dafa sochega, awal toh karega hi nahin qk unko nazar aa rha hai k Ducky k sath kia horha hai jo paison ki lalach men itna andha hogya tha k usne deen dunya kuch nahin dekha.. Main sochta hon usko zarort hi kiya thi? Aap pehle hi YouTube se aur TikTok se itne paise kama rhe ho, upar se aap crypto men bhi ghuse hue ho toh aapko kia zrort hai extra cheez apne sar lene ki aur wo bhi ghair qanooni.